WhatsApp duniya bhar mein sabse jyada istemal hone wala instant message platform hai. Is app ka istemal personal aur office dono tarah ke kaam mein hota hai.
Kya hoga agar koi aapka WhatsApp Account hack kar le? Aisa kuch logon ke saath hua hai, jise baad pulis ne is mamle mein logon ko savdhaan kiya hai. Aaiye jaante hain pura mamla, jiski wajah se aapka account hack ho sakta hai.
WhatsApp Hack Kaise Karte Hain: Aasan Tips aur Savdhaan Rehne Ke Tarike
Scammers logon ko thagne ke liye kai tarikon ka istemal karte hain. Aise hi ek tarikke ko lekar pulis logon ko savdhaan kar rahi hai. Kolkata police ne is mamle mein ek Facebook post kiya hai, jismein logon ko WhatsApp Scam ke baare mein bataya gaya hai. Ye warning ek student aur businessman ki shikayat ke baad di gayi hai.
Aapne kai baar suna hoga kisi dost ke naam se ek dusri Facebook ID kisi ne bana li hai, jo logon se paise maang raha hai. Ye mamla bhi kuch aisa hi hai, lekin WhatsApp se juda hua hai. Iski shuruaat World Yoga Day, yani 21 June ko hoti hai.
Kaise kaam karta hai scam?
Darasal, scammers pehle kisi user ka Facebook account hack karte hain. Hack kiye account se scammer us user ke friends ko Yoga Classes join karne ke liye bolta hai, jiski usne shuruaat ki hai. Iske baad scammer ek link bhejta hai aur recipient ko us par click karne ke liye kehta hai.
Link par click karne ke baad scammer, users se 6 ank ka OTP maangta hai. Mamle ki jaanch kar rahe ek adhikari ne bataya ki jaise hi koi user us OTP ko share karta hai, scammers uska WhatsApp account access kar lete hain. User ne jis OTP ko share kiya hai, darasal, wo ek WhatsApp verification code hota hai.
WhatsApp Hack honge ke paas kya hoga?
Is code ki madad se scammers paas user ka WhatsApp account pahunch jaata hai. Is mamle mein scammers ne logon ko fansane ke liye Yoga Classes ke pretest ka istemal kiya tha. Jaise hi koi scammer ke jaal mein fansa hota hai, ye unse paise mangne lagte hain.
Itna hi nahi, ye scammers logon ke WhatsApp account ka istemal gairkaanooni kaam mein bhi karte hain. Pulis ne users ko is tarah ke kisi bhi scam se savdhaan kiya hai. Is tarah ke scam ke bachne ke liye aapko kuch baaton ka dhyaan rakhna hoga.
- Sabse pehle kisi bhi anjaan link par click na karen.
- Iske alawa users ko OTP share nahi karna chahiye.
- Agar kabhi OTP share karte bhi hain, to is baat ka dhyaan rakhein ki wo hai kis kaam ke liye.
Internet ki duniya mein aapko safety ka ek matra tareeka aapki savdhaani hai.